aadmi ke dard ka is tarah darman kijiye
aadmī ke dard kā is tarah darmāñ kījiye
asl īmāñ māvarā-e-kufr-o-īmāñ kījiye
merī ḳhākistar meñ baaqī hai jo bū-e-āshiyāñ
bijliyoñ kā zikr kyā fikr-e-gulistāñ kījiye
gar kamāl-e-zauq-e-gulshan bū-e-gul banñe meñ hai
zarra zarra ḳhaak kā apnī gulistāñ kījiye
gar faroġh-e-zindagī ḳhud ko miTā dene meñ hai
zauq-e-ḳhud-bīnī miTā kar fikr-e-insāñ kījiye
apne armānoñ kī duniyā meñ to duniyā rah chukī
jis meñ duniyā hī simaT aa.e vo armāñ kījiye
apne ġham ko rote rahnā lā.eq-e-insāñ nahīñ
gāhe-gāhe dūsroñ ke ġham kā farmāñ kījiye
zauq-e-tausī.a-e-mohabbat kā hai aalam muntazir
dard-e-ālam hī ko apnā monis-e-jāñ kījiye
lutf-e-hastī ḳhāk-e-mai-ḳhāna hī ban jaane meñ hai
ḳhud ko misl-e-ḳhāk-e-pāk-e-pā-e-rindāñ kījiye
ālam-e-imkāñ meñ ho 'anvar' nayā aalam bapā
dūsroñ ke vāste gar ḳhud ko qurbāñ kījiye
aadmi ke dard ka is tarah darman kijiye
asl iman mawara-e-kufr-o-iman kijiye
meri KHakistar mein baqi hai jo bu-e-ashiyan
bijliyon ka zikr kya fikr-e-gulistan kijiye
gar kamal-e-zauq-e-gulshan bu-e-gul banne mein hai
zarra zarra KHak ka apni gulistan kijiye
gar farogh-e-zindagi KHud ko miTa dene mein hai
zauq-e-KHud-bini miTa kar fikr-e-insan kijiye
apne armanon ki duniya mein to duniya rah chuki
jis mein duniya hi simaT aae wo arman kijiye
apne gham ko rote rahna laeq-e-insan nahin
gahe-gahe dusron ke gham ka farman kijiye
zauq-e-tausia-e-mohabbat ka hai aalam muntazir
dard-e-alam hi ko apna monis-e-jaan kijiye
lutf-e-hasti KHak-e-mai-KHana hi ban jaane mein hai
KHud ko misl-e-KHak-e-pak-e-pa-e-rindan kijiye
aalam-e-imkan mein ho 'anwar' naya aalam bapa
dusron ke waste gar KHud ko qurban kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.