aadmi ki shakl mein bhagwan le aae hain hum
aadmī kī shakl meñ bhagvān le aa.e haiñ ham
aur is par be-tarah īmān le aa.e haiñ ham
imtiyāzī zehniyat kī hai numā.ish har taraf
kis musībat meñ ye apnī jaan le aa.e haiñ ham
ham azal se aaj tak pinhāñ haiñ apnī zaat se
aur duniyā ke liye qur.ān le aa.e haiñ ham
ahl-e-maġhrib ne to samjhā hai ḳhudā insān ko
aur har din ik nayā bhagvān le aa.e haiñ ham
dil kī har afsurdagī ko zabt kar detī haiñ jo
aisī ġhazloñ kā nayā dīvān le aa.e haiñ ham
be-sabab āzār hai 'rāhib' nizām-e-zindagī
ḳhud hī sar ke sāmne chaTTān le aa.e haiñ ham
aadmi ki shakl mein bhagwan le aae hain hum
aur is par be-tarah iman le aae hain hum
imtiyazi zehniyat ki hai numaish har taraf
kis musibat mein ye apni jaan le aae hain hum
hum azal se aaj tak pinhan hain apni zat se
aur duniya ke liye quran le aae hain hum
ahl-e-maghrib ne to samjha hai KHuda insan ko
aur har din ek naya bhagwan le aae hain hum
dil ki har afsurdagi ko zabt kar deti hain jo
aisi ghazlon ka naya diwan le aae hain hum
be-sabab aazar hai 'rahib' nizam-e-zindagi
KHud hi sar ke samne chaTTan le aae hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.