aadmi na-rasa sa lagta hai
aadmī nā-rasā sā lagtā hai
phir bhī zālim ḳhudā sā lagtā hai
dosto pārsā nahīñ vo shaḳhs
haañ magar pārsā sā lagtā hai
kaisī bastī meñ aa ga.e yaaro
jis ko dekho ḳhudā sā lagtā hai
is chaman meñ navā-e-āzādī
ye parinda nayā sā lagtā hai
zindagī kaun sā maqām hai ye
zahr mujh ko davā sā lagtā hai
log jaise chanāb kī maujeñ
pyaar kachchā ghaḌā sā lagtā hai
aaj sāhil pe jis kī laash milī
vo koī nāḳhudā sā lagtā hai
aadmī pur-ḳhulūs hai 'zebā'
ik zarā bevafā sā lagtā hai
aadmi na-rasa sa lagta hai
phir bhi zalim KHuda sa lagta hai
dosto parsa nahin wo shaKHs
han magar parsa sa lagta hai
kaisi basti mein aa gae yaro
jis ko dekho KHuda sa lagta hai
is chaman mein nawa-e-azadi
ye parinda naya sa lagta hai
zindagi kaun sa maqam hai ye
zahr mujh ko dawa sa lagta hai
log jaise chanab ki maujen
pyar kachcha ghaDa sa lagta hai
aaj sahil pe jis ki lash mili
wo koi naKHuda sa lagta hai
aadmi pur-KHulus hai 'zeba'
ek zara bewafa sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.