aadmi shahr se nikalta hai
aadmī shahr se nikaltā hai
qatra ab bahr se nikaltā hai
is qadar nafratoñ kī aadat hai
dam mirā mahr se nikaltā hai
jo tire ishq meñ hai mahv-e-raqs
vo kab is lahr se nikaltā hai
hai pasand dhuup meñ use rahnā
dil tire sehr se nikaltā hai
aap ab ḳhvāb meñ nahīñ aate
ḳhvāb ab qahr se nikaltā hai
is qadar ḳhauf hai ki sūraj bhī
aaj dopahr se nikaltā hai
zindagī dekhtī hai hairat se
kaam jab zahr se nikaltā hai
ḳhuun farhād kā hai ye varna
duudh kab nahr se nikaltā hai
aañkh meñ ashk haiñ 'ḳhizar' mere
chashma ab dahr se nikaltā hai
aadmi shahr se nikalta hai
qatra ab bahr se nikalta hai
is qadar nafraton ki aadat hai
dam mera mahr se nikalta hai
jo tere ishq mein hai mahw-e-raqs
wo kab is lahr se nikalta hai
hai pasand dhup mein use rahna
dil tere sehr se nikalta hai
aap ab KHwab mein nahin aate
KHwab ab qahr se nikalta hai
is qadar KHauf hai ki suraj bhi
aaj dopahr se nikalta hai
zindagi dekhti hai hairat se
kaam jab zahr se nikalta hai
KHun farhad ka hai ye warna
dudh kab nahr se nikalta hai
aankh mein ashk hain 'KHizar' mere
chashma ab dahr se nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.