aae bhi wo to shakl dikha kar chale gae
aa.e bhī vo to shakl dikhā kar chale ga.e
dil kī lagī ko aur baḌhā kar chale ga.e
bīmār-e-ġham ke paas vo aa kar chale ga.e
bigḌī huī thī baat banā kar chale ga.e
haañ ai nigāh-e-shauq batā tū kahāñ rahī
vo gosha-e-naqāb uThā kar chale ga.e
go mai-kade meñ pī bhī rahe the janāb-e-shaiḳh
ham to yahī kaheñge ki aa kar chale ga.e
ai jazb-e-dil batā to sahī tujh ko kyā huā
kal jab vo ham se aañkh bachā kar chale ga.e
uTTheñge hashr tak na tire āstāñ se ham
nā-ahl hī vo hoñge jo aa kar chale ga.e
girne lage jo un pe bhī parvāne baar baar
vo sham-e-anjuman ko bujhā kar chale ga.e
kuchh ham-safīr ho ga.e sayyād kā shikār
kuchh ḳhud hī āshiyāñ ko jalā kar chale ga.e
āḳhir ye kū-e-ishq hai 'sāhir' sañbhal ke chal
lākhoñ yahāñ se Thokareñ khā kar chale ga.e
aae bhi wo to shakl dikha kar chale gae
dil ki lagi ko aur baDha kar chale gae
bimar-e-gham ke pas wo aa kar chale gae
bigDi hui thi baat bana kar chale gae
han ai nigah-e-shauq bata tu kahan rahi
wo gosha-e-naqab uTha kar chale gae
go mai-kade mein pi bhi rahe the janab-e-shaiKH
hum to yahi kahenge ki aa kar chale gae
ai jazb-e-dil bata to sahi tujh ko kya hua
kal jab wo hum se aankh bacha kar chale gae
uTThenge hashr tak na tere aastan se hum
na-ahl hi wo honge jo aa kar chale gae
girne lage jo un pe bhi parwane bar bar
wo sham-e-anjuman ko bujha kar chale gae
kuchh ham-safir ho gae sayyaad ka shikar
kuchh KHud hi aashiyan ko jala kar chale gae
aaKHir ye ku-e-ishq hai 'sahir' sanbhal ke chal
lakhon yahan se Thokaren kha kar chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.