Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aae na harf zabt pe pir-e-mughan kahin

Afqar Mohani

aae na harf zabt pe pir-e-mughan kahin

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    aa.e na harf zabt pe pīr-e-muġhāñ kahīñ

    ban jaa.eñ ḳhud savāl na añgḌā.iyāñ kahīñ

    kartī haiñ sajda jo ruḳh-e-jānāñ ko dekh kar

    jhuktī haiñ sañg-e-dar pe vo peshāniyāñ kahīñ

    ahl-e-ḳhirad surāġh lagāte rah ga.e

    ahl-e-junūñ mil na sakīñ dhajjiyāñ kahīñ

    be-rabtī-e-sujūd andāz dekh kar

    badla na le jabīñ se tirā āstāñ kahīñ

    bālīñ pe aa ke maut bhī aksar palaT ga.ī

    duniyā meñ hoñge ham se na ab saḳht-jāñ kahīñ

    'afqar' milegī hashr meñ sabr-o-razā daad

    lekin milegā ab na mirā āstāñ kahīñ

    aae na harf zabt pe pir-e-mughan kahin

    ban jaen KHud sawal na angDaiyan kahin

    karti hain sajda jo ruKH-e-jaanan ko dekh kar

    jhukti hain sang-e-dar pe wo peshaniyan kahin

    ahl-e-KHirad suragh lagate hi rah gae

    ahl-e-junun ki mil na sakin dhajjiyan kahin

    be-rabti-e-sujud ka andaz dekh kar

    badla na le jabin se tera aastan kahin

    baalin pe aa ke maut bhi aksar palaT gai

    duniya mein honge hum se na ab saKHt-jaan kahin

    'afqar' milegi hashr mein sabr-o-raza ki dad

    lekin milega ab na mera aastan kahin

    Source :
    • Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 127)
    • Author : فرحت احساس
    • Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now