aae the jis taraf se wo ek din udhar gae
aa.e the jis taraf se vo ik din udhar ga.e
bargad kā peḌ kaT gayā sādhū guzar ga.e
kyā zindagī milī unheñ tūfāñ kī god meñ
do jism ek jism hue aur mar ga.e
karne lage qayās kahīñ qatl ho gayā
āñdhī kā rañg surḳh thā sab log Dar ga.e
ab mujh ko bhūl-bhāl ga.e sab muāshqe
sāvan kī rut guzar ga.ī dariyā utar ga.e
ik jism meñ utar gayā ik saal din-ba-din
ik ek kar ke sahn meñ patte bikhar ga.e
chhup kar mile bichhaḌ ga.e aur phir na mil sake
ik pal meñ dāstān kī takmīl kar ga.e
aae the jis taraf se wo ek din udhar gae
bargad ka peD kaT gaya sadhu guzar gae
kya zindagi mili unhen tufan ki god mein
do jism ek jism hue aur mar gae
karne lage qayas kahin qatl ho gaya
aandhi ka rang surKH tha sab log Dar gae
ab mujh ko bhul-bhaal gae sab muashqe
sawan ki rut guzar gai dariya utar gae
ek jism mein utar gaya ek sal din-ba-din
ek ek kar ke sahn mein patte bikhar gae
chhup kar mile bichhaD gae aur phir na mil sake
ek pal mein dastan ki takmil kar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.