aaega kah kar gaya tha phir magar aaya nahin
aa.egā kah kar gayā thā phir magar aayā nahīñ
muntazir maiñ rah gayā vo lauT kar aayā nahīñ
ik nazar aayā nazar vo phir nazar se chhup gayā
phir nazar ko ik nazar bhī vo nazar aayā nahīñ
zindagī ke rāste par tai kiyā lambā safar
par safar meñ zindagī ke ham-safar aayā nahīñ
ek Dar aksar Darātā hai mujhe bhī aaj tak
aaj tak kyoñ dil meñ mere koī Dar aayā nahīñ
vo asar jis ke asar pe har asar ho be asar
ab talak terī ġhazal meñ vo asar aayā nahīñ
ye jo har sū tīrgī bikhrī huī hai is qadar
kyā tirī mahfil meñ ab tak 'bhāskar' aayā nahīñ
aaega kah kar gaya tha phir magar aaya nahin
muntazir main rah gaya wo lauT kar aaya nahin
ek nazar aaya nazar wo phir nazar se chhup gaya
phir nazar ko ek nazar bhi wo nazar aaya nahin
zindagi ke raste par tai kiya lamba safar
par safar mein zindagi ke ham-safar aaya nahin
ek Dar aksar Daraata hai mujhe bhi aaj tak
aaj tak kyon dil mein mere koi Dar aaya nahin
wo asar jis ke asar pe har asar ho be asar
ab talak teri ghazal mein wo asar aaya nahin
ye jo har su tirgi bikhri hui hai is qadar
kya teri mahfil mein ab tak 'bhaskar' aaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.