aaega tere pas na duniya ka koi shar
aa.egā tire paas na duniyā kā koī shar
ai sahib-e-ausāf tū vannās paḌhā kar
manzūr-e-nazar ahl-e-tarab hī haiñ tire kyoñ
ham se bhī to tū mil kabhī sahrāoñ meñ aa kar
logo kī nigāhoñ se chhupā.ūñ tujhe kaise
ai shaḳhs tirā naam to likkhā hai jabīñ par
ab aañkh ke sote se nikaltā nahīñ hai ḳhuuñ
ik umr huī suukh gayā dard kā sāġhar
tū vādī-e-gulshan ke ujaḌne kā sabab hai
ilzām ye rakkhā hai bahāroñ ne mire sar
aaega tere pas na duniya ka koi shar
ai sahib-e-ausaf tu wannas paDha kar
manzur-e-nazar ahl-e-tarab hi hain tere kyon
hum se bhi to tu mil kabhi sahraon mein aa kar
logo ki nigahon se chhupaun tujhe kaise
ai shaKHs tera nam to likkha hai jabin par
ab aankh ke sote se nikalta nahin hai KHun
ek umr hui sukh gaya dard ka saghar
tu wadi-e-gulshan ke ujaDne ka sabab hai
ilzam ye rakkha hai bahaaron ne mere sar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.