aaegi phir chaman mein jaane bahaar kab tak
aaegi phir chaman mein jaane bahaar kab tak
Maqsood Alam Khan Alam Barelvi
MORE BYMaqsood Alam Khan Alam Barelvi
aa.egī phir chaman meñ jaane bahār kab tak
karnā paḌegā mujh ko yuuñ intizār kab tak
jiine kī aarzū meñ marne kī justujū meñ
hotā rahegā merā dil be-qarār kab tak
ehsāñ karo na koī maiñ kyā javāb dūñgā
karte rahoge mujh ko yuuñ sharmsār kab tak
tarz-e-vafā tumhārī kyā hai na mil sako tum
phirtā rahūñ batā do maiñ sogvār kab tak
ik din sameT lūñgā bāhoñ meñ un ko 'ālam'
dil par mirā rahegā yuuñ e.atibār kab tak
aaegi phir chaman mein jaane bahaar kab tak
karna paDega mujh ko yun intizar kab tak
jine ki aarzu mein marne ki justuju mein
hota rahega mera dil be-qarar kab tak
ehsan karo na koi main kya jawab dunga
karte rahoge mujh ko yun sharmsar kab tak
tarz-e-wafa tumhaari kya hai na mil sako tum
phirta rahun bata do main sogwar kab tak
ek din sameT lunga bahon mein un ko 'alam'
dil par mera rahega yun eatibar kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.