aaenge rah-e-ishq mein kuchh hadsat aur
ā.eñge rāh-e-'ishq meñ kuchh hādsāt aur
dil mujh se kah rahā hai zarā ehtiyāt aur
bachchoñ se phir kahā hai ki gaaḌī nahīñ milī
bachchoñ se phir kahā hai ki bas ek raat aur
pahle bhī tere jūd-o-karam se 'atā huī
ai shāh-e-mumkināt mujhe ek naa't aur
vo bāt-chīt 'ishq pe kartā to hai magar
kahne kī baat aur hai karne kī baat aur
ye log jo bhī kahte haiñ logoñ kī baat chhoḌ
logoñ ke saath aur huuñ maiñ tere saath aur
ik dūsre ke saath bhī bantī na thī 'munīr'
aur aa ga.ī safar meñ achānak se raat aur
aaenge rah-e-'ishq mein kuchh hadsat aur
dil mujh se kah raha hai zara ehtiyat aur
bachchon se phir kaha hai ki gaDi nahin mili
bachchon se phir kaha hai ki bas ek raat aur
pahle bhi tere jud-o-karam se 'ata hui
ai shah-e-mumkinat mujhe ek na't aur
wo baat-chit 'ishq pe karta to hai magar
kahne ki baat aur hai karne ki baat aur
ye log jo bhi kahte hain logon ki baat chhoD
logon ke sath aur hun main tere sath aur
ek dusre ke sath bhi banti na thi 'munir'
aur aa gai safar mein achanak se raat aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.