Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aafaq mein phaile hue manzar se nikal kar

Ghulam Mohammad Qasir

aafaq mein phaile hue manzar se nikal kar

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    āfāq meñ phaile hue manzar se nikal kar

    chāhā tujhe maujūd-o-mayassar se nikal kar

    din se bhī uThāte nahīñ ham raat ke parde

    ḳhvāboñ ke ta'āqub meñ haiñ bistar se nikal kar

    dīvār ke saa.e meñ bhī ik shahr hai ābād

    dekhā nahīñ ne kabhī ghar se nikal kar

    chashme pe jo paanī ke liye haath baḌhā.ūñ

    chingāriyāñ aa jaatī haiñ patthar se nikal kar

    pahchān rahī thī mujhe sāhil pe bichhī ret

    ik lahr chalī aa.ī samundar se nikal kar

    aafaq mein phaile hue manzar se nikal kar

    chaha tujhe maujud-o-mayassar se nikal kar

    din se bhi uThate nahin hum raat ke parde

    KHwabon ke ta'aqub mein hain bistar se nikal kar

    diwar ke sae mein bhi ek shahr hai aabaad

    dekha hi nahin tu ne kabhi ghar se nikal kar

    chashme pe jo pani ke liye hath baDhaun

    chingariyan aa jati hain patthar se nikal kar

    pahchan rahi thi mujhe sahil pe bichhi ret

    ek lahr chali aai samundar se nikal kar

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aafaq mein phaile hue manzar se nikal kar Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now