aafiyat kahti hai phir ek sitamgar ko bulaen
'āfiyat kahtī hai phir ek sitamgar ko bulā.eñ
reg-e-sāhil kī tarah apne samundar ko bulā.eñ
jo nazar bhī nahīñ aatā use dil meñ rakh leñ
vo jo bāhar bhī nahīñ hai use andar ko bulā.eñ
ḳhār-zāroñ kā safar hai to pareshānī kyā
aañkh ko band kareñ aur gul-e-tar ko bulā.eñ
hai jo ik 'umr se simTā huā pas-manzar meñ
pesh-e-manzar ke liye phir usī manzar ko bulā.eñ
phir ufuq ko hai vahī chāñd sā chehra matlūb
aur havā.eñ bhī usī zulf-e-mo’ambar ko bulā.eñ
rāste bhaTke hue qadmoñ ko āvāzeñ deñ
sīpiyāñ mauj meñ ghulte hue gauhar ko bulā.eñ
'afiyat kahti hai phir ek sitamgar ko bulaen
reg-e-sahil ki tarah apne samundar ko bulaen
jo nazar bhi nahin aata use dil mein rakh len
wo jo bahar bhi nahin hai use andar ko bulaen
KHar-zaron ka safar hai to pareshani kya
aankh ko band karen aur gul-e-tar ko bulaen
hai jo ek 'umr se simTa hua pas-manzar mein
pesh-e-manzar ke liye phir usi manzar ko bulaen
phir ufuq ko hai wahi chand sa chehra matlub
aur hawaen bhi usi zulf-e-mo’ambar ko bulaen
raste bhaTke hue qadmon ko aawazen den
sipiyan mauj mein ghulte hue gauhar ko bulaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.