aafrin waqt-e-tasawwur aah ki tasir ko
aafrin waqt-e-tasawwur aah ki tasir ko
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
āfrīñ vaqt-e-tasavvur aah kī tāsīr ko
karvaTeñ lākhoñ badalvā.īñ tirī tasvīr ko
dekh o nāvak-fagan shauq-e-dam-e-naḳhchīr ko
hasrat-e-zaḳhm-e-jigar khā khā ga.ī hai tiir ko
samjho dastāvez zaḳhm-e-āshiq-e-dil-gīr ko
kab miTā sakte ho apne haath kī tahrīr ko
zulf ke mazmūñ se hai har baat meñ pechīdgī
tum hī suljhāo mirī uljhī huī taqrīr ko
ain ġhaflat thī ki mar kar bhī na kuchh hāsil huā
zindagī samjhe hue the ḳhvāb-e-be-ta.abīr ko
kyā na hogā ḳhuuñ bahā dene meñ bhī ḳhauf-e-ḳhudā
hashr ke din kyā karoge rang kī taġh.yīr ko
vo suñghā kar zulf-e-mushkīñ hosh meñ laa.e mujhe
saañp ne chūsā hai apne zahr kī tāsīr ko
maut kā aanā muqaddam hai bashar ke vāste
aur maiñ kuchh kah nahīñ saktā tirī tāḳhīr ko
ho kashish thoḌī agar phir auj-o-pastī kuchh nahīñ
zarre ne khīñchā hai kitnā mehr kī tanvīr ko
maiñ vo vābista-e-sahrā huuñ ki gar roke mujhe
jeb meñ rakh luuñ uThā kar ḳhār-e-dāman-gīr ko
aap kī hai nek-nāmī aur mirī bad-nāmiyāñ
aap kī shohrat se kyā nisbat mirī tash.hīr ko
zulf ke phandoñ ko kholo phir dam-e-'sho.ala' rukā
kyoñ gale meñ ghoñTte ho jān-e-be-taqsīr ko
aafrin waqt-e-tasawwur aah ki tasir ko
karwaTen lakhon badalwain teri taswir ko
dekh o nawak-fagan shauq-e-dam-e-naKHchir ko
hasrat-e-zaKHm-e-jigar kha kha gai hai tir ko
samjho dastawez zaKHm-e-ashiq-e-dil-gir ko
kab miTa sakte ho apne hath ki tahrir ko
zulf ke mazmun se hai har baat mein pechidgi
tum hi suljhao meri uljhi hui taqrir ko
ain ghaflat thi ki mar kar bhi na kuchh hasil hua
zindagi samjhe hue the KHwab-e-be-tabir ko
kya na hoga KHun baha dene mein bhi KHauf-e-KHuda
hashr ke din kya karoge rang ki taghyir ko
wo sungha kar zulf-e-mushkin hosh mein lae mujhe
sanp ne chusa hai apne zahr ki tasir ko
maut ka aana muqaddam hai bashar ke waste
aur main kuchh kah nahin sakta teri taKHir ko
ho kashish thoDi agar phir auj-o-pasti kuchh nahin
zarre ne khincha hai kitna mehr ki tanwir ko
main wo wabista-e-sahra hun ki gar roke mujhe
jeb mein rakh lun uTha kar KHar-e-daman-gir ko
aap ki hai nek-nami aur meri bad-namiyan
aap ki shohrat se kya nisbat meri tashhir ko
zulf ke phandon ko kholo phir dam-e-'shoala' ruka
kyon gale mein ghonTte ho jaan-e-be-taqsir ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.