aag aur KHun ke khel se ab tak bhara na ji
aag aur ḳhuuñ ke khel se ab tak bharā na jī
jannat ke dā'vedār hamārā jalā na jī
kirdār masḳhare kā alamiye meñ mil gayā
ḳhud par bhī hañs ke dekh liyā ḳhush huā na jī
kyā jānvar milā thā sadhāyā nahīñ gayā
jiinā bhī ek kaam thā jis meñ lagā na jī
māñgī thī ik baḳhīl se puure badan kī bhīkh
āñkheñ dikhā ke rah gayā kaasa bharā na jī
sab 'ishq-raushnī ke ḳharīdār uTh ga.e
bāzār yuuñ girā ki jalāyā gayā na jī
mahfil meñ vāh-vāh kā vo shor thā ki bas
kambaḳht shā'irī kā magar ḳhush huā na jī
aag aur KHun ke khel se ab tak bhara na ji
jannat ke da'wedar hamara jala na ji
kirdar masKHare ka alamiye mein mil gaya
KHud par bhi hans ke dekh liya KHush hua na ji
kya jaanwar mila tha sadhaya nahin gaya
jina bhi ek kaam tha jis mein laga na ji
mangi thi ek baKHil se pure badan ki bhikh
aankhen dikha ke rah gaya kasa bhara na ji
sab 'ishq-raushni ke KHaridar uTh gae
bazar yun gira ki jalaya gaya na ji
mahfil mein wah-wah ka wo shor tha ki bas
kambaKHt sha'iri ka magar KHush hua na ji
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 49)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.