aag barsi to bahut jal ke mare the patte
aag barsī to bahut jal ke mare the patte
log kahte haiñ ki kasrat se hare the patte
kuchh havāoñ kī tarāshoñ ne Dubo kar ḳhuuñ meñ
jā-ba-jā ḳhuub salīqe se dhare the patte
reshe-reshe meñ kahīñ zahr na bhar de shabnam
ham-nashīnoñ se kabhī yuuñ na Dare the patte
zāhirā-shaiḳh zamīr apnā jalā kar ḳhush thī
us ke āñchal meñ karoḌoñ ke bhare the patte
barg-e-sarsabz kī shāḳhoñ meñ zamurrad the jaḌe
dast-e-kotāh thā maiñ mujh se pare the patte
taash ke khel meñ har faisla pattoñ pe shahāb
haar yā jiit ki donoñ meñ khare the patte
aag barsi to bahut jal ke mare the patte
log kahte hain ki kasrat se hare the patte
kuchh hawaon ki tarashon ne Dubo kar KHun mein
ja-ba-ja KHub saliqe se dhare the patte
reshe-reshe mein kahin zahr na bhar de shabnam
ham-nashinon se kabhi yun na Dare the patte
zahira-shaiKH zamir apna jala kar KHush thi
us ke aanchal mein karoDon ke bhare the patte
barg-e-sarsabz ki shaKHon mein zamurrad the jaDe
dast-e-kotah tha main mujh se pare the patte
tash ke khel mein har faisla patton pe shahab
haar ya jit ki donon mein khare the patte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.