aag jab zaKHm-e-jigar be-intiha dene lage
aag jab zaḳhm-e-jigar be-intihā dene lage
chāra-gar ghabrā ke uf uf kī sadā dene lage
ab kahāñ thā maiñ jo detā is mohabbat kā javāb
jis kī turbat dekh lī mujh ko sadā dene lage
dāman-e-sabr-o-tahammul haath se ḳhud chhuT gayā
TuuT kar zaḳhmoñ ke Tāñke jab sadā dene lage
hijr kī rātoñ ke sannāTe meñ uf rī be-ḳhudī
ham dil-e-gum-gashta ko apnī sadā dene lage
haath bhī ghabrā ke maiñ ne qalb-e-nāzuk par rakhe
jab zarā sī choT meñ shīshe sadā dene lage
jāñkanī kā vaqt bhī baaqī rahe tum bhī raho
dekhne aa.e to kyā achchhī daġhā dene lage
mai-kade meñ ham se mastoñ kī ḳhushī kyā rañj kyā
mil ga.e do-chār sāġhar aur duā dene lage
munhasir marne pe ho jab sūrat-e-taskīn-e-dil
kosnā maiñ is ko samjhūñ jo duā dene lage
zālim-o-mazlūm kā mahfil meñ kal niklā thā zikr
vo hamārā aur ham un kā patā dene lage
marne vaale phir na ai 'jāved' kholeñ apnī aañkh
gar qasam baḌhtī huī un kī hayā dene lage
aag jab zaKHm-e-jigar be-intiha dene lage
chaara-gar ghabra ke uf uf ki sada dene lage
ab kahan tha main jo deta is mohabbat ka jawab
jis ki turbat dekh li mujh ko sada dene lage
daman-e-sabr-o-tahammul hath se KHud chhuT gaya
TuT kar zaKHmon ke Tanke jab sada dene lage
hijr ki raaton ke sannaTe mein uf ri be-KHudi
hum dil-e-gum-gashta ko apni sada dene lage
hath bhi ghabra ke main ne qalb-e-nazuk par rakhe
jab zara si choT mein shishe sada dene lage
jaankani ka waqt bhi baqi rahe tum bhi raho
dekhne aae to kya achchhi dagha dene lage
mai-kade mein hum se maston ki KHushi kya ranj kya
mil gae do-chaar saghar aur dua dene lage
munhasir marne pe ho jab surat-e-taskin-e-dil
kosna main is ko samjhun jo dua dene lage
zalim-o-mazlum ka mahfil mein kal nikla tha zikr
wo hamara aur hum un ka pata dene lage
marne wale phir na ai 'jawed' kholen apni aankh
gar qasam baDhti hui un ki haya dene lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.