aag ke sahra mein apna lamha lamha zard tha
aag ke sahrā meñ apnā lamha lamha zard thā
bād-e-vahshat chal rahī thī chehra chehra zard thā
aa gayā thā raushnī ke dā.ere meñ jab shigāf
āgahī kī saltanat meñ saaya saaya zard thā
ik sahīfa thā ba-unvān-e-vafādārī magar
saf.he saf.he par thī surḳhī nuqta nuqta zard thā
har koī thā hādsoñ kī tez āñdhī kā asiir
yaas kā thā daur-daura chehra chehra zard thā
har tanaffus thā baqā kī kashmakash meñ mubtalā
vāhimoñ kī sarzamīñ kā ḳhitta ḳhitta zard thā
is qadar vīrāniyoñ ko saath laa.ī thī bahār
peḌ kā chehra luTā thā pattā pattā zard thā
aag ke sahra mein apna lamha lamha zard tha
baad-e-wahshat chal rahi thi chehra chehra zard tha
aa gaya tha raushni ke daere mein jab shigaf
aagahi ki saltanat mein saya saya zard tha
ek sahifa tha ba-unwan-e-wafadari magar
safhe safhe par thi surKHi nuqta nuqta zard tha
har koi tha hadson ki tez aandhi ka asir
yas ka tha daur-daura chehra chehra zard tha
har tanaffus tha baqa ki kashmakash mein mubtala
wahimon ki sarzamin ka KHitta KHitta zard tha
is qadar viraniyon ko sath lai thi bahaar
peD ka chehra luTa tha patta patta zard tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.