aag ki lapTen hain mujh mein mom ka putla hai tu
aag kī lapTeñ haiñ mujh meñ mom kā putlā hai tū
paas mere aa rahā hai kitnā dīvāna hai tū
us pe kitne naag bhī phunkārte haiñ dekh le
jis shajar ke saa.e meñ aa kar abhī leTā hai tū
tere ruḳh par haiñ thakāvaT ke jo ye āsār se
kyā koī lambā safar kar ke abhī lauTā hai tū
ye taġhayyur kis liye kyā hādisa guzrā hai bol
mom sā thā narm ab kyoñ saḳht patthar sā hai tū
dil meñ ik paiham khaTak hotī hai terī yaad se
saath thā to phuul thā bichhḌā to ik kāñTā hai tū
daur-e-nau kā jo chalan hai tū bhī thoḌā siikh le
be-sabab hī ġhair kī mushkil meñ kyoñ paḌtā hai tū
saañp kā kaaTā huā hotā to bach jaatā magar
tū na bach pā.egā 'aks' insān kā kaaTā hai tū
aag ki lapTen hain mujh mein mom ka putla hai tu
pas mere aa raha hai kitna diwana hai tu
us pe kitne nag bhi phunkarte hain dekh le
jis shajar ke sae mein aa kar abhi leTa hai tu
tere ruKH par hain thakawaT ke jo ye aasar se
kya koi lamba safar kar ke abhi lauTa hai tu
ye taghayyur kis liye kya hadisa guzra hai bol
mom sa tha narm ab kyon saKHt patthar sa hai tu
dil mein ek paiham khaTak hoti hai teri yaad se
sath tha to phul tha bichhDa to ek kanTa hai tu
daur-e-nau ka jo chalan hai tu bhi thoDa sikh le
be-sabab hi ghair ki mushkil mein kyon paDta hai tu
sanp ka kaTa hua hota to bach jata magar
tu na bach paega 'aks' insan ka kaTa hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.