aag kya sard hui barf ko pani kar ke
aag kyā sard huī barf ko paanī kar ke
ham bhī dariyā hue mahsūs ravānī kar ke
pūchhiye kis se ki vīrān hue ghar kaise
har koī ḳhush hai yahāñ naql-e-makānī kar ke
in ishāroñ kī kanāyoñ kī haqīqat ma.alūm
ham ne alfāz ko dekhā thā ma.ānī kar ke
ik na.e din kī shurūāt huī jaatī hai
qāflo aage baḌho ḳhatm kahānī kar ke
log rakhte haiñ zarā.at se zamīneñ ḳhush-rañg
ham bhī dekheñ kisī poshāk ko dhānī kar ke
qadr-o-qīmat meñ izāfe kī talab thī jin ko
vahī masrūr haiñ ashiyā kī girānī kar ke
yuuñ hī karte rahe jiddat kā gila to 'rāhat'
har kisī chiiz ko rakh doge purānī kar ke
aag kya sard hui barf ko pani kar ke
hum bhi dariya hue mahsus rawani kar ke
puchhiye kis se ki viran hue ghar kaise
har koi KHush hai yahan naql-e-makani kar ke
in ishaaron ki kanayon ki haqiqat malum
hum ne alfaz ko dekha tha maani kar ke
ek nae din ki shuruat hui jati hai
qaflo aage baDho KHatm kahani kar ke
log rakhte hain zaraat se zaminen KHush-rang
hum bhi dekhen kisi poshak ko dhani kar ke
qadr-o-qimat mein izafe ki talab thi jin ko
wahi masrur hain ashiya ki girani kar ke
yun hi karte rahe jiddat ka gila to 'rahat'
har kisi chiz ko rakh doge purani kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.