aag lau dene lagi saya-e-gham-KHwar ke pas
aag lau dene lagī sāya-e-ġham-ḳhvār ke paas
mehr-e-nā-dīda koī hai dar-o-dīvār ke paas
jaane kyā soch ke kal apnā pasandīda qalam
rakh gayā hai mirā bachcha mirī talvār ke paas
kis havāle se vo dekhe qad-o-qāmat apnā
apnī sūrat hī nahīñ ā.ina-bardār ke paas
phuul kī zarb se zaḳhmī thā sarāpā shāyad
der tak baiThā rahā ābla-pā ḳhaar ke paas
motī is tarah luTātī hai ḳhazaf ho goyā
kyā ḳhazāna hai koī chashm-e-guhar-bār ke paas
jānib-e-dasht-e-gumāñ dekh rahe ho kyā 'rāz'
kyā kabhī mahr bhī jaatā hai shab-e-tār ke paas
aag lau dene lagi saya-e-gham-KHwar ke pas
mehr-e-na-dida koi hai dar-o-diwar ke pas
jaane kya soch ke kal apna pasandida qalam
rakh gaya hai mera bachcha meri talwar ke pas
kis hawale se wo dekhe qad-o-qamat apna
apni surat hi nahin aaina-bardar ke pas
phul ki zarb se zaKHmi tha sarapa shayad
der tak baiTha raha aabla-pa KHar ke pas
moti is tarah luTati hai KHazaf ho goya
kya KHazana hai koi chashm-e-guhar-bar ke pas
jaanib-e-dasht-e-guman dekh rahe ho kya 'raaz'
kya kabhi mahr bhi jata hai shab-e-tar ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.