aag mein birha ki yun birhan jale
aag meñ birhā kī yuuñ birhan jale
āñsuoñ kī aañch se dāman jale
aag chāhat kī bhī kaisī aag hai
raushnī chehre pe ho aur man jale
pyaar kar ke yuuñ chale ik kāminī
jog le kar jaise bairāgan jale
kāmnā.eñ bhasm hoñ āshā.eñ raakh
man jale to man kā har bandhan jale
naam rakkhe kyā koī is aag kā
raat din jis aag meñ jīvan jale
dekh kar be-rūp mere ruup ko
thaal meñ sindūr aur chandan jale
vo lagā kar chal diye birhā kī aag
ab kisī kā tan jale yā man jale
aag birhā kī anokhī aag hai
chāñdnī kī chhāñv meñ āñgan jale
laaj rakh lī hai piyā ne pyaar kī
laakh jaltī hai koī bairan jale
ban ke dīpak aur kabhī ban kar patang
bāñvare man ham tire kāran jale
sāmne aaya hai qismat kā likhā
ab to mukhḌā dekh kar darpan jale
jalne vaalā hī samajhtā hai 'tufail'
kaun kis ke ġham meñ kis kāran jale
aag mein birha ki yun birhan jale
aansuon ki aanch se daman jale
aag chahat ki bhi kaisi aag hai
raushni chehre pe ho aur man jale
pyar kar ke yun chale ek kaamini
jog le kar jaise bairagan jale
kaamnaen bhasm hon aashaen rakh
man jale to man ka har bandhan jale
nam rakkhe kya koi is aag ka
raat din jis aag mein jiwan jale
dekh kar be-rup mere rup ko
thaal mein sindur aur chandan jale
wo laga kar chal diye birha ki aag
ab kisi ka tan jale ya man jale
aag birha ki anokhi aag hai
chandni ki chhanw mein aangan jale
laj rakh li hai piya ne pyar ki
lakh jalti hai koi bairan jale
ban ke dipak aur kabhi ban kar patang
banware man hum tere karan jale
samne aaya hai qismat ka likha
ab to mukhDa dekh kar darpan jale
jalne wala hi samajhta hai 'tufail'
kaun kis ke gham mein kis karan jale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.