aag meri hai lakDiyan uski
aag merī hai lakḌiyāñ us kī
sune jaatā huuñ dāstāñ us kī
maiñ sulagtā huuñ apne bistar meñ
chhat pe guzrī haiñ sardiyāñ us kī
phuul hai aur titliyoñ kā hujūm
saath us ke saheliyāñ us kī
us ke hāthoñ meñ hai mirī talvār
mere hāthoñ meñ chūḌiyāñ us kī
maiñ kahīñ bhaag bhī nahīñ saktā
raste us ke haiñ gāḌiyāñ us kī
jo tujhe mujh se baḌh ke chāhegā
ye ḳhalā aur kahkashāñ us kī
aag meri hai lakDiyan us ki
sune jata hun dastan us ki
main sulagta hun apne bistar mein
chhat pe guzri hain sardiyan us ki
phul hai aur titliyon ka hujum
sath us ke saheliyan us ki
us ke hathon mein hai meri talwar
mere hathon mein chuDiyan us ki
main kahin bhag bhi nahin sakta
raste us ke hain gaDiyan us ki
jo tujhe mujh se baDh ke chahega
ye KHala aur kahkashan us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.