aag pani se Darta hua main hi tha
aag paanī se Dartā huā maiñ hī thā
chāñd kī sair kartā huā maiñ hī thā
sar uThā.e khaḌā thā pahāḌoñ pe maiñ
pattī pattī bikhartā huā maiñ hī thā
maiñ hī thā us taraf zaḳhm khāyā huā
is taraf vaar kartā huā maiñ hī thā
jaag uTThā thā sub.h maut kī niiñd se
raat aa.ī to martā huā maiñ hī thā
maiñ hī thā manziloñ pe paḌā hāñptā
rāstoñ meñ Thahartā huā maiñ hī thā
mujh se pūchhe koī Dūbne kā mazā
pāniyoñ meñ utartā huā maiñ hī thā
maiñ hī thā 'alvī' kamre meñ soyā huā
aur galī se guzartā huā maiñ hī thā
aag pani se Darta hua main hi tha
chand ki sair karta hua main hi tha
sar uThae khaDa tha pahaDon pe main
patti patti bikharta hua main hi tha
main hi tha us taraf zaKHm khaya hua
is taraf war karta hua main hi tha
jag uTTha tha subh maut ki nind se
raat aai to marta hua main hi tha
main hi tha manzilon pe paDa hanpta
raston mein Thaharta hua main hi tha
mujh se puchhe koi Dubne ka maza
paniyon mein utarta hua main hi tha
main hi tha 'alwi' kamre mein soya hua
aur gali se guzarta hua main hi tha
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 74)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.