aag sine ki bujha lun pani
aag siine kī bujhā luuñ paanī
surḳh āñkheñ haiñ bahā luuñ paanī
ḳharch kam-kam ho sañbhālūñ paanī
ho sake jitnā bachā luuñ paanī
anqā hone lagā hai ab ye bhī
sab kī nazroñ se chhupā luuñ paanī
kal se aayā nahīñ hai aisā ho
de ke āvāz bulā luuñ paanī
qatra-qatra jo bhar ke rakkhā thā
bartanoñ se vo nikālūñ paanī
bijlī ġhā.eb kabhī nadārat gas
us pe ġham terā bhī pā luuñ paanī
holī aa.e to rang ho jā.ūñ
ho dīvālī to jalā luuñ paanī
aaj kitne dinoñ ke baa'd aayā
oḌh luuñ yā ki bichhā luuñ paanī
aag sine ki bujha lun pani
surKH aankhen hain baha lun pani
KHarch kam-kam ho sanbhaalun pani
ho sake jitna bacha lun pani
anqa hone laga hai ab ye bhi
sab ki nazron se chhupa lun pani
kal se aaya nahin hai aisa ho
de ke aawaz bula lun pani
qatra-qatra jo bhar ke rakkha tha
bartanon se wo nikalun pani
bijli ghaeb kabhi nadarat gas
us pe gham tera bhi pa lun pani
holi aae to rang ho jaun
ho diwali to jala lun pani
aaj kitne dinon ke ba'd aaya
oDh lun ya ki bichha lun pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.