aag sine mein mohabbat ki lagane wale
aag siine meñ mohabbat kī lagāne vaale
dil meñ rahte haiñ mire dil ko jalāne vaale
duur rah kar bhī nigāhoñ meñ samāne vaale
yaad aate haiñ mujhe yaad na aane vaale
dekhtā rahtā huuñ har mauj meñ sūrat terī
'aks Thahre hue paanī meñ dikhāne vaale
har sitam terā maiñ sah jā.uñgā hañste hañste
tujh ko mā'lūm nahīñ mujh ko satāne vaale
vo jo is daur ke bhagvān bane baiThe haiñ
kaise taslīm kareñ un ko zamāne vaale
daulat-e-ġham se navāzā mujhe ḳhushiyoñ ke 'evaz
terā mashkūr huuñ taqdīr banāne vaale
merī afsurdagi-e-dil pe nazar kī tū ne
shukriya hausla 'afsar' kā baḌhāne vaale
aag sine mein mohabbat ki lagane wale
dil mein rahte hain mere dil ko jalane wale
dur rah kar bhi nigahon mein samane wale
yaad aate hain mujhe yaad na aane wale
dekhta rahta hun har mauj mein surat teri
'aks Thahre hue pani mein dikhane wale
har sitam tera main sah jaunga hanste hanste
tujh ko ma'lum nahin mujh ko satane wale
wo jo is daur ke bhagwan bane baiThe hain
kaise taslim karen un ko zamane wale
daulat-e-gham se nawaza mujhe KHushiyon ke 'ewaz
tera mashkur hun taqdir banane wale
meri afsurdagi-e-dil pe nazar ki tu ne
shukriya hausla 'afsar' ka baDhane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.