aaghaz-e-ishq umr ka anjam ho gaya
āġhāz-e-ishq umr kā anjām ho gayā
nākāmiyoñ ke ġham meñ mirā kaam ho gayā
tum roz-o-shab jo dast-ba-dast-e-adū phire
maiñ pā.emāl-e-gardish-e-ayyām ho gayā
merā nishāñ miTā to miTā par ye rashk hai
vird-e-zabān-e-ḳhalq tirā naam ho gayā
dil chāk-chāk naġhma-e-nāqūs se huā
sab pāra-pāra jāma-e-ahrām ho gayā
kyā ab bhī mujh pe farz nahīñ dostī-e-kufr
vo zid se merī dushman-e-islām ho gayā
allāh re bosa-e-lab-e-mai-gūñ kī aarzū
maiñ ḳhaak ho ke durd-e-tah-e-jām ho gayā
aaghaz-e-ishq umr ka anjam ho gaya
nakaamiyon ke gham mein mera kaam ho gaya
tum roz-o-shab jo dast-ba-dast-e-adu phire
main paemal-e-gardish-e-ayyam ho gaya
mera nishan miTa to miTa par ye rashk hai
wird-e-zaban-e-KHalq tera nam ho gaya
dil chaak-chaak naghma-e-naqus se hua
sab para-para jama-e-ahram ho gaya
kya ab bhi mujh pe farz nahin dosti-e-kufr
wo zid se meri dushman-e-islam ho gaya
allah re bosa-e-lab-e-mai-gun ki aarzu
main KHak ho ke durd-e-tah-e-jam ho gaya
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 98)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.