aaghaz-e-jawani hai zara dekh ke chaliye
āġhāz-e-javānī hai zarā dekh ke chaliye
ḳhatre kī nishānī hai zarā dekh ke chaliye
har samt se umDā hai talātum hī talātum
dariyā meñ ravānī hai zarā dekh ke chaliye
ye umr hī aisī hai ki rahtā nahīñ kuchh hosh
ik josh-e-javānī hai zarā dekh ke chaliye
chhūne se na murjhā.e kahīñ Dar hai isī kā
phūloñ sī javānī hai zarā dekh ke chaliye
shoḳhī hai sharārat hai qayāmat hai adā hai
rangīn javānī hai zarā dekh ke chaliye
in mast adāoñ kī nazākat kī hayā kī
duniyā bhī divānī hai zarā dekh ke chaliye
marmar sā hasīñ jism hai ik taaj mahal sā
kyā ḳhauf-e-javānī hai zarā dekh ke chaliye
yuuñ ḳhud pe akaḌnā bhī nahīñ Thiik jahāñ meñ
ye husn to faanī hai zarā dekh ke chaliye
jaañ apnī gañvā degā yahāñ aap kī ḳhātir
'rāmish' ne ye Thānī hai zarā dekh ke chaliye
aaghaz-e-jawani hai zara dekh ke chaliye
KHatre ki nishani hai zara dekh ke chaliye
har samt se umDa hai talatum hi talatum
dariya mein rawani hai zara dekh ke chaliye
ye umr hi aisi hai ki rahta nahin kuchh hosh
ek josh-e-jawani hai zara dekh ke chaliye
chhune se na murjhae kahin Dar hai isi ka
phulon si jawani hai zara dekh ke chaliye
shoKHi hai shararat hai qayamat hai ada hai
rangin jawani hai zara dekh ke chaliye
in mast adaon ki nazakat ki haya ki
duniya bhi diwani hai zara dekh ke chaliye
marmar sa hasin jism hai ek taj mahal sa
kya KHauf-e-jawani hai zara dekh ke chaliye
yun KHud pe akaDna bhi nahin Thik jahan mein
ye husn to fani hai zara dekh ke chaliye
jaan apni ganwa dega yahan aap ki KHatir
'ramish' ne ye Thani hai zara dekh ke chaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.