aaghaz-e-mohabbat hi mein nashad karoge
āġhāz-e-mohabbat hī meñ nāshād karoge
kyā mujh ko ḳhabar thī mujhe barbād karoge
muddat se hai vīrān mirā gulshan-e-hastī
kab phuul koī hoñToñ se irshād karoge
hai vaqt kī āġhosh meñ ik aisā zamāna
jab rātoñ ko uTh uTh ke mujhe yaad karoge
ḳhvāboñ ke darīchoñ se mujhe jhāñkne vaalo
kab ujḌī huī ḳhalvateñ ābād karoge
insān ko bekār sī shai jānñe vaalo
sāyoñ se lipaT kar kabhī fariyād karoge
kam-zarf-e-mohabbat bhī haiñ bedād ke tālib
kyā aur bhī arzānī-e-bedād karoge
ye zikr hai 'altāf' anāsir se shab-o-roz
kab qaidī-e-anfās ko āzād karoge
aaghaz-e-mohabbat hi mein nashad karoge
kya mujh ko KHabar thi mujhe barbaad karoge
muddat se hai viran mera gulshan-e-hasti
kab phul koi honTon se irshad karoge
hai waqt ki aaghosh mein ek aisa zamana
jab raaton ko uTh uTh ke mujhe yaad karoge
KHwabon ke darichon se mujhe jhankne walo
kab ujDi hui KHalwaten aabaad karoge
insan ko bekar si shai jaanne walo
sayon se lipaT kar kabhi fariyaad karoge
kam-zarf-e-mohabbat bhi hain bedad ke talib
kya aur bhi arzani-e-bedad karoge
ye zikr hai 'altaf' anasir se shab-o-roz
kab qaidi-e-anfas ko aazad karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.