aaghaz-o-iKHtitam se yaad aaenge tumhein
āġhāz-o-iḳhtitām se yaad ā.eñge tumheñ
har sub.h aur shaam se yaad ā.eñge tumheñ
har ashk-e-ġham se chhalkegī pal-pal hamārī yaad
lab ke har ibtisām se yaad ā.eñge tumheñ
manzar koī bhī hogā raheñge tumhāre paas
har āhaT-o-kalām se yaad ā.eñge tumheñ
be-shak hamārā naam na lenā zabān se
ham to tumhāre naam se yaad ā.eñge tumheñ
dekhe the ham ne mil ke yahāñ zindagī ke ḳhvāb
is shahr meñ qiyām se yaad ā.eñge tumheñ
rahte kahāñ the ho ke judā ham se ek pal
ma.amūl ke bhī kaam se yaad ā.eñge tumheñ
aaghaz-o-iKHtitam se yaad aaenge tumhein
har subh aur sham se yaad aaenge tumhein
har ashk-e-gham se chhalkegi pal-pal hamari yaad
lab ke har ibtisam se yaad aaenge tumhein
manzar koi bhi hoga rahenge tumhaare pas
har aahaT-o-kalam se yaad aaenge tumhein
be-shak hamara nam na lena zaban se
hum to tumhaare nam se yaad aaenge tumhein
dekhe the hum ne mil ke yahan zindagi ke KHwab
is shahr mein qiyam se yaad aaenge tumhein
rahte kahan the ho ke juda hum se ek pal
mamul ke bhi kaam se yaad aaenge tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.