aagahi maut se kam bhi nahin ruswa bhi nahin
Interesting Fact
(Tarahi Mushaira, commemorating Firaq Gorakhpuri)
āgahī maut se kam bhī nahīñ rusvā bhī nahīñ
dekhtā huuñ vo tamāshā jo tamāshā bhī nahīñ
jalva mushtāq bhī huuñ jalva taqāzā bhī nahīñ
husn majrūh-e-nazar ho ye gavārā bhī nahīñ
zindagī ham ko bahut der meñ raas aa.ī hai
dard kam bhī nahīñ imkān-e-mudāvā bhī nahīñ
raah paatā hai zamāna mirī gumrāhī se
manzileñ kyā mire aage koī rasta bhī nahīñ
ba.az vaqtoñ ke ḳhayālāt bhī kyā hote haiñ
duur tak jaise maiñ tanhā bhī huuñ tanhā bhī nahīñ
sābiqa aise sitamgar se hai din raat apnā
ya.anī qātil bhī nahīñ vo to masīhā bhī nahīñ
raushnī miltī hai duniyā ko unhī logoñ se
jin ke hisse meñ charāġhoñ kā ujālā bhī nahīñ
apne hī shahr meñ ab apne shanāsā kam haiñ
dasht-e-ġhurbat meñ ajab kyā jo shanāsā bhī nahīñ
har tabāhī kā sabab hai dil-e-muztar tanhā
ġham hazār āfat-e-jāñ hai magar itnā bhī nahīñ
haq rifāqat kā adā kar diyā shāyad us ne
dil gulistāñ bhī nahīñ dard kā sahrā bhī nahīñ
mashvare dete haiñ ahbāb mujhe 'shauq' aise
jaise ab tak mujhe andāza ḳhud apnā bhī nahīñ
aagahi maut se kam bhi nahin ruswa bhi nahin
dekhta hun wo tamasha jo tamasha bhi nahin
jalwa mushtaq bhi hun jalwa taqaza bhi nahin
husn majruh-e-nazar ho ye gawara bhi nahin
zindagi hum ko bahut der mein ras aai hai
dard kam bhi nahin imkan-e-mudawa bhi nahin
rah pata hai zamana meri gumrahi se
manzilen kya mere aage koi rasta bhi nahin
baz waqton ke KHayalat bhi kya hote hain
dur tak jaise main tanha bhi hun tanha bhi nahin
sabiqa aise sitamgar se hai din raat apna
yani qatil bhi nahin wo to masiha bhi nahin
raushni milti hai duniya ko unhi logon se
jin ke hisse mein charaghon ka ujala bhi nahin
apne hi shahr mein ab apne shanasa kam hain
dasht-e-ghurbat mein ajab kya jo shanasa bhi nahin
har tabahi ka sabab hai dil-e-muztar tanha
gham hazar aafat-e-jaan hai magar itna bhi nahin
haq rifaqat ka ada kar diya shayad us ne
dil gulistan bhi nahin dard ka sahra bhi nahin
mashware dete hain ahbab mujhe 'shauq' aise
jaise ab tak mujhe andaza KHud apna bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.