aagahi ne ye raaz paya hai
āgahī ne ye raaz paayā hai
raushnī kā subūt saayā hai
apne ġham kā hisāb laayā hai
jo bhī ġham-ḳhvār ban kar aaya hai
dekhiye dil pe kyā guzar jaa.e
koī rah rah ke yaad aaya hai
sarfarāzī pe bhūlne vaalo
ġham bhī ḳhushiyoñ ke saath aaya hai
un se vābastagī kā kyā kahnā
apnā ho kar bhī dil parāyā hai
ishq ne har maqām se haT kar
rang apnā alag jamāyā hai
zikr hai jis kī shādmānī kā
vo bhī māhaul kā satāyā hai
ai 'rishī' kārobār-e-ulfat meñ
jis ne khoyā hai us ne paayā hai
aagahi ne ye raaz paya hai
raushni ka subut saya hai
apne gham ka hisab laya hai
jo bhi gham-KHwar ban kar aaya hai
dekhiye dil pe kya guzar jae
koi rah rah ke yaad aaya hai
sarfaraazi pe bhulne walo
gham bhi KHushiyon ke sath aaya hai
un se wabastagi ka kya kahna
apna ho kar bhi dil paraya hai
ishq ne har maqam se haT kar
rang apna alag jamaya hai
zikr hai jis ki shadmani ka
wo bhi mahaul ka sataya hai
ai 'rishi' karobar-e-ulfat mein
jis ne khoya hai us ne paya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.