aage isi gali mein hai ek raushni ka ghar
aage isī galī meñ hai ik raushnī kā ghar
pūchhā hai tum ne jis kā pata haañ usī kā ghar
ye jism jis meñ barsoñ se ik maut hai makīn
aur sab samajh rahe haiñ ise zindagī kā ghar
kuchh to 'ajīb baat thī kuchh to judā sā thā
yaad aayā saare rāste us ajnabī kā ghar
is zo'm meñ ik 'umr maiñ suunā paḌā rahā
dīvār-o-dar kisī ke the aur thā kisī kā ghar
koī pukārtā rahā mujh ko tamām 'umr
har vaqt yaad aayā vo pichhlī galī kā ghar
aage isi gali mein hai ek raushni ka ghar
puchha hai tum ne jis ka pata han usi ka ghar
ye jism jis mein barson se ek maut hai makin
aur sab samajh rahe hain ise zindagi ka ghar
kuchh to 'ajib baat thi kuchh to juda sa tha
yaad aaya sare raste us ajnabi ka ghar
is zo'm mein ek 'umr main suna paDa raha
diwar-o-dar kisi ke the aur tha kisi ka ghar
koi pukarta raha mujh ko tamam 'umr
har waqt yaad aaya wo pichhli gali ka ghar
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 105)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.