aage ki Thokaron se bacha kar chala gaya
aage kī Thokaroñ se bachā kar chalā gayā
ik shaḳhs mere raste meñ aa kar chalā gayā
vo dard ke davā ke diloñ ke savāl par
'ġhālib' kā ek sher sunā kar chalā gayā
jis ko kabhī bhulā na sakī ek pal bhī maiñ
vo mujh ko ek pal meñ bhulā kar chalā gayā
us ne safar meñ saath to merā nahīñ diyā
mujh ko magar vo rasta dikhā kar chalā gayā
dil chāhtā hai us ko hī marham ke taur par
jo shaḳhs dil pe zaḳhm lagā kar chalā gayā
socho zarā ki kitnā dukhā hogā us kā dil
hañste hue jo ashk chhupā kar chalā gayā
aage ki Thokaron se bacha kar chala gaya
ek shaKHs mere raste mein aa kar chala gaya
wo dard ke dawa ke dilon ke sawal par
'ghaalib' ka ek sher suna kar chala gaya
jis ko kabhi bhula na saki ek pal bhi main
wo mujh ko ek pal mein bhula kar chala gaya
us ne safar mein sath to mera nahin diya
mujh ko magar wo rasta dikha kar chala gaya
dil chahta hai us ko hi marham ke taur par
jo shaKHs dil pe zaKHm laga kar chala gaya
socho zara ki kitna dukha hoga us ka dil
hanste hue jo ashk chhupa kar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.