Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aage pichhe us ka apna saya lahraata raha

Hakeem Manzoor

aage pichhe us ka apna saya lahraata raha

Hakeem Manzoor

MORE BYHakeem Manzoor

    aage pīchhe us apnā saaya lahrātā rahā

    ḳhauf se us shaḳhs chehra sadā piilā rahā

    sub.h ko dekhā to vo mujh se thā bilkul ajnabī

    raat bhar jo jism ke andar mujhe taktā rahā

    kaisā dīvāna thā sab kuchh jaan kar anjān thā

    har kisī se vo gale miltā rahā rotā rahā

    ye ḳhatā merī thī tujh ko maiñ ne pahchānā nahīñ

    aa.ine meñ jaane mujh ko kyā nazar aatā rahā

    ḳhud-numā.ī ke liye tarkīb thī achchhī bahut

    log sab ḳhāmosh the vo kuchh na kuchh kahtā rahā

    ham ne dīvāroñ pe us ko kar diyā chaspāñ magar

    apne ghar meñ vo baḌe ārām se soyā rahā

    sab barahna-tan hue 'manzūr' jab mahfil jaañ

    apne ghar meñ chhup ke ḳhāmoshī se maiñ baiThā rahā

    aage pichhe us ka apna saya lahraata raha

    KHauf se us shaKHs ka chehra sada pila raha

    subh ko dekha to wo mujh se tha bilkul ajnabi

    raat bhar jo jism ke andar mujhe takta raha

    kaisa diwana tha sab kuchh jaan kar anjaan tha

    har kisi se wo gale milta raha rota raha

    ye KHata meri thi tujh ko main ne pahchana nahin

    aaine mein jaane mujh ko kya nazar aata raha

    KHud-numai ke liye tarkib thi achchhi bahut

    log sab KHamosh the wo kuchh na kuchh kahta raha

    hum ne diwaron pe us ko kar diya chaspan magar

    apne ghar mein wo baDe aaram se soya raha

    sab barahna-tan hue 'manzur' jab mahfil ki jaan

    apne ghar mein chhup ke KHamoshi se main baiTha raha

    Source :
    • Book : Natamam (Pg. 41)
    • Author : Hakeem Manzoor
    • Publication : Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-110060 (1977)
    • Edition : 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now