aage se apni rah juda chahte hain hum
aage se apnī raah judā chāhte haiñ ham
aisā samajh ki dām-e-vafā chāhte haiñ ham
āñkhoñ ko ḳhud hī paḌh le koī aarzū na pūchh
hoñThoñ se kyā batā.eñ ki kyā chāhte haiñ ham
raat aa ga.ī ab apnī udāsī kā vaqt hai
ai khiḌkiyo charāġh bujhā chāhte haiñ ham
ai pāsbāñ tū khol de ye rauzan-e-qafas
kam-az-kam apnā zehn rihā chāhte haiñ ham
jannat ke rāste meñ kahīñ tīrgī na ho
so qabr par bhī ek diyā chāhte haiñ ham
ik jhiil kā kināra ho jangal ho peḌ hoñ
ik ghar vahīñ pe dasht-numā chāhte haiñ ham
aage se apni rah juda chahte hain hum
aisa samajh ki dam-e-wafa chahte hain hum
aankhon ko KHud hi paDh le koi aarzu na puchh
honThon se kya bataen ki kya chahte hain hum
raat aa gai ab apni udasi ka waqt hai
ai khiDkiyo charagh bujha chahte hain hum
ai pasban tu khol de ye rauzan-e-qafas
kam-az-kam apna zehn riha chahte hain hum
jannat ke raste mein kahin tirgi na ho
so qabr par bhi ek diya chahte hain hum
ek jhil ka kinara ho jangal ho peD hon
ek ghar wahin pe dasht-numa chahte hain hum
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 96)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.