aage ye gareban na kabhi chaak karunga
aage ye garebāñ na kabhī chaak karūñgā
vahshat se tire dasht ko ab paak karūñgā
jis din bhī huā tez mirā sho'la-e-zulmat
us din varaq-e-mahr tujhe ḳhaak karūñgā
shab us ke liye masnad-e-mahtāb bichhā kar
tāroñ kā tamāshā tah-e-aflāk karūñgā
us ko bhī banā.ūñgā ḳhush-āmoz talātum
aur ḳhud ko bhī ḳhaar o ḳhas-o-ḳhāshāk karūñgā
dekhūñgā abhī aur bhī ḳhanjar kī ravānī
qātil ko abhī aur bhī saffāk karūñgā
bal khāte hue jism pe ik zaḳhm lagā kar
is nār-e-mohabbat ko ġhazabnāk karūñgā
dauḌ āye.gā vo āhū-e-chālāk kahāñ tak
ik din to use basta-e-fitrāk karūñgā
pahle to karūñgā maiñ tirī ātish-e-ḳhūñ tez
phir farsh-e-badan par tujhe bebāk karūñgā
aage ye gareban na kabhi chaak karunga
wahshat se tere dasht ko ab pak karunga
jis din bhi hua tez mera sho'la-e-zulmat
us din waraq-e-mahr tujhe KHak karunga
shab us ke liye masnad-e-mahtab bichha kar
taron ka tamasha tah-e-aflak karunga
us ko bhi banaunga KHush-amoz talatum
aur KHud ko bhi KHar o KHas-o-KHashak karunga
dekhunga abhi aur bhi KHanjar ki rawani
qatil ko abhi aur bhi saffak karunga
bal khate hue jism pe ek zaKHm laga kar
is nar-e-mohabbat ko ghazabnak karunga
dauD aayega wo aahu-e-chaalak kahan tak
ek din to use basta-e-fitrak karunga
pahle to karunga main teri aatish-e-KHun tez
phir farsh-e-badan par tujhe bebak karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.