aaghosh ka haz paikar-o-diba ne uThaya
āġhosh kā haz paikar-o-dībā ne uThāyā
bose kā mazā sāġhar-e-sahbā ne uThāyā
kis ke dil-e-mahzūñ ko satāyā thā ki ik umr
ḳhajlat se na sar zulf-e-chalīpā ne uThāyā
shāyad mah-e-kan.ān kī nazar aa ga.ī tasvīr
kahnā hai abas ranj zuleḳhā ne uThāyā
zālim chaman-ārā ko hai gulchīñ kī ijāzat
kyoñ shor abas bulbul-e-shaidā ne uThāyā
thā ḳhauf-e-ḳhudā dushman-e-ḳhuñḳhār ke dil meñ
beḌā mirī iizā kā ahibbā ne uThāyā
hañstī thī khaḌī saikḌoñ saf roz-e-qayāmat
sar ḳhaak se jis dam tire rusvā ne uThāyā
aġhyār kā muñh thā mujhe mahfil se uThāte
sach yuuñ hai tirī ranjish-e-bejā ne uThāyā
ai dost tire dil meñ kabhī rahm na aaya
sau baar mujhe ḳhaak se aadā ne uThāyā
bīmār-e-mohabbat ko ab allāh shifā de
sunte haiñ ki haath us se masīhā ne uThāyā
āmīñ kī sadā hazrat-e-izzat meñ hai har-sū
kyā dast-e-duā āshiq-e-shaidā ne uThāyā
hai qadr suḳhan-go ki pas-e-marg 'shahīdī'
tābūt mirā dosh pe 'saudā' ne uThāyā
aaghosh ka haz paikar-o-diba ne uThaya
bose ka maza saghar-e-sahba ne uThaya
kis ke dil-e-mahzun ko sataya tha ki ek umr
KHajlat se na sar zulf-e-chalipa ne uThaya
shayad mah-e-kanan ki nazar aa gai taswir
kahna hai abas ranj zuleKHa ne uThaya
zalim chaman-ara ko hai gulchin ki ijazat
kyon shor abas bulbul-e-shaida ne uThaya
tha KHauf-e-KHuda dushman-e-KHunKHar ke dil mein
beDa meri iza ka ahibba ne uThaya
hansti thi khaDi saikDon saf roz-e-qayamat
sar KHak se jis dam tere ruswa ne uThaya
aghyar ka munh tha mujhe mahfil se uThate
sach yun hai teri ranjish-e-beja ne uThaya
ai dost tere dil mein kabhi rahm na aaya
sau bar mujhe KHak se aada ne uThaya
bimar-e-mohabbat ko ab allah shifa de
sunte hain ki hath us se masiha ne uThaya
aamin ki sada hazrat-e-izzat mein hai har-su
kya dast-e-dua aashiq-e-shaida ne uThaya
hai qadr suKHan-go ki pas-e-marg 'shahidi'
tabut mera dosh pe 'sauda' ne uThaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.