aah bargah-e-husn mein jalwon ka asar dekh
Interesting Fact
Seep, Karachi 1971
aah bārgah-e-husn meñ jalvoñ kā asar dekh
had se na guzar zabt meñ ai zabt-e-nazar dekh
mat pūchh ki kyā guzrī dil-sho.ala-sifat par
is dast-e-hinā.ī meñ mirā dāman-e-tar dekh
tū us kā tamannā.ī hai mat Dar dil-e-nādāñ
ummīd nahīñ phir bhī vo kahtā hai to mar dekh
ye shahr hai yā ḳhema hai dushman kā sipah kā
āvāz ke zaḳhmoñ se lahū hai mirā sar dekh
kyuuñ bahr-e-ḳhamoshī meñ hai tū misl-e-sadā tañg
hasrat koī baaqī hai to ik baar ubhar dekh
shāyad tire hisse meñ ho motī kā muqaddar
ai qatra-e-jāñ aaj samundar meñ utar dekh
kyuuñ paañv pasāre tū paḌā hai sar-e-rāhe
kyā saḳht safar hai zarā saa.e se idhar dekh
shāyad ho idhar 'arsh' koī chashma-e-haivāñ
ik baar tū hastī ke bayābāñ se guzar dekh
aah bargah-e-husn mein jalwon ka asar dekh
had se na guzar zabt mein ai zabt-e-nazar dekh
mat puchh ki kya guzri dil-shoala-sifat par
is dast-e-hinai mein mera daman-e-tar dekh
tu us ka tamannai hai mat Dar dil-e-nadan
ummid nahin phir bhi wo kahta hai to mar dekh
ye shahr hai ya KHema hai dushman ka sipah ka
aawaz ke zaKHmon se lahu hai mera sar dekh
kyun bahr-e-KHamoshi mein hai tu misl-e-sada tang
hasrat koi baqi hai to ek bar ubhar dekh
shayad tere hisse mein ho moti ka muqaddar
ai qatra-e-jaan aaj samundar mein utar dekh
kyun panw pasare tu paDa hai sar-e-rahe
kya saKHt safar hai zara sae se idhar dekh
shayad ho idhar 'arsh' koi chashma-e-haiwan
ek bar tu hasti ke bayaban se guzar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.