aah bhar-bhar ke samne rona
aah bhar-bhar ke sāmne ronā
kisī rahbar ke sāmne ronā
us ko ro kar dikhānā aisā hai
jaise patthar ke sāmne ronā
pahle ḳhud hī lagānā ghar ko aag
aur phir ghar ke sāmne ronā
mujh ko aatī nahīñ thī aksar niiñd
maiñ ne bistar ke sāmne ronā
be-vaqūfī hai dasht meñ hañsnā
aur samundar ke sāmne ronā
us ke pīchhe se ronā Thiik nahīñ
hausla kar ke sāmne ronā
ginte rahnā hamārī yaad meñ din
aur calendar ke sāmne ronā
khaTkhaTānā tamām darvāze
aur har dar ke sāmne ronā
kaun rotā hai shauq se 'ahmad'
apne dilbar ke sāmne ronā
aah bhar-bhar ke samne rona
kisi rahbar ke samne rona
us ko ro kar dikhana aisa hai
jaise patthar ke samne rona
pahle KHud hi lagana ghar ko aag
aur phir ghar ke samne rona
mujh ko aati nahin thi aksar nind
main ne bistar ke samne rona
be-waqufi hai dasht mein hansna
aur samundar ke samne rona
us ke pichhe se rona Thik nahin
hausla kar ke samne rona
ginte rahna hamari yaad mein din
aur calendar ke samne rona
khaTkhaTana tamam darwaze
aur har dar ke samne rona
kaun rota hai shauq se 'ahmad'
apne dilbar ke samne rona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.