aah bharne ke liye zaKHm-e-jigar bhi chahiye
aah bharne ke liye zaKHm-e-jigar bhi chahiye
Basheer Ahmad Basheer
MORE BYBasheer Ahmad Basheer
aah bharne ke liye zaḳhm-e-jigar bhī chāhiye
nāla-o-fariyād meñ to chashm-e-tar bhī chāhiye
khel ye jiinā nahīñ hotā hai mere dosto
is kī ḳhātir hausla bhī dil jigar bhī chāhiye
kyoñ raheñ ban kar zamāne kī lakīroñ ke faqīr
apne jiine kā to andāz-e-digar bhī chāhiye
muflisoñ ke vāste jiinā bahut dushvār hai
zar-parastoñ se agar bachnā ho zar bhī chāhiye
zāhirī saj-dhaj kī dīvānī hai ye duniyā bahut
fasionable ḳhud ho to aisā hī ghar bhī chāhiye
shā'irī kā to nahīñ maqsad ki ho bas shā'irī
is kā ta.amīrī koī nuqta-e-nazar bhī chāhiye
tīra-baḳhtī kā ba-juz is ke nahīñ koī 'ilāj
shām-e-ġham aa.e to ummīd-e-sahar bhī chāhiye
yuuñ ilāj-e-dard-e-dil kā fā.eda kyā ai tabīb
koī nusḳha is kī ḳhātir kārgar bhī chāhiye
dahr meñ insāniyat kī sar-bulandī ke liye
pahle apne aap meñ is kā asar bhī chāhiye
dostī ke vāste merī faqat ik shart hai
dost dil kā saaf ho jo be-zarar bhī chāhiye
roTī kapḌā aur makāñ hī hājat-e-insāñ nahīñ
dūsroñ kā pyaar is ko 'umr-bhar bhī chāhiye
ḳhud-shanāsī zindagī hai ḳhud-pasandī maut hai
ai 'bashīr' is baat kī tujh ko ḳhabar bhī chāhiye
aah bharne ke liye zaKHm-e-jigar bhi chahiye
nala-o-fariyaad mein to chashm-e-tar bhi chahiye
khel ye jina nahin hota hai mere dosto
is ki KHatir hausla bhi dil jigar bhi chahiye
kyon rahen ban kar zamane ki lakiron ke faqir
apne jine ka to andaz-e-digar bhi chahiye
muflison ke waste jina bahut dushwar hai
zar-paraston se agar bachna ho zar bhi chahiye
zahiri saj-dhaj ki diwani hai ye duniya bahut
fasionable KHud ho to aisa hi ghar bhi chahiye
sha'iri ka to nahin maqsad ki ho bas sha'iri
is ka tamiri koi nuqta-e-nazar bhi chahiye
tira-baKHti ka ba-juz is ke nahin koi 'ilaj
sham-e-gham aae to ummid-e-sahar bhi chahiye
yun ilaj-e-dard-e-dil ka faeda kya ai tabib
koi nusKHa is ki KHatir kargar bhi chahiye
dahr mein insaniyat ki sar-bulandi ke liye
pahle apne aap mein is ka asar bhi chahiye
dosti ke waste meri faqat ek shart hai
dost dil ka saf ho jo be-zarar bhi chahiye
roTi kapDa aur makan hi hajat-e-insan nahin
dusron ka pyar is ko 'umr-bhar bhi chahiye
KHud-shanasi zindagi hai KHud-pasandi maut hai
ai 'bashir' is baat ki tujh ko KHabar bhi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.