aah bharta hun to bharne bhi nahin deta hai
aah bhartā huuñ to bharne bhī nahīñ detā hai
aur vo ḳhāmoshī se marne bhī nahīñ detā hai
nāḳhudā kashtī ko sāhil se lagātā bhī nahīñ
beach dariyā meñ utarne bhī nahīñ detā hai
dūsrā zaḳhm lagā detā hai dil par mere
pahle ko Thiik se bharne bhī nahīñ detā hai
mere āñsuoñ se vo sañg pighaltā bhī nahīñ
sar paTak kar mujhe marne bhī nahīñ detā hai
baaz aatā bhī nahīñ zarb lagāne se vo
TuuT kar mujh ko bikharne bhī nahīñ detā hai
mere sapnoñ ko vo sach bhī nahīñ hone detā
magar ummīd ko marne bhī nahīñ detā hai
aa.ine ko mire chehre se shikāyat hai bahut
aa.ina mujh ko sañvarne bhī nahīñ detā hai
us kī mahfil meñ pahuñchne kī tamannā mat kar
vo to kūche se guzarne bhī nahīñ detā hai
aah bharta hun to bharne bhi nahin deta hai
aur wo KHamoshi se marne bhi nahin deta hai
naKHuda kashti ko sahil se lagata bhi nahin
beach dariya mein utarne bhi nahin deta hai
dusra zaKHm laga deta hai dil par mere
pahle ko Thik se bharne bhi nahin deta hai
mere aansuon se wo sang pighalta bhi nahin
sar paTak kar mujhe marne bhi nahin deta hai
baz aata bhi nahin zarb lagane se wo
TuT kar mujh ko bikharne bhi nahin deta hai
mere sapnon ko wo sach bhi nahin hone deta
magar ummid ko marne bhi nahin deta hai
aaine ko mere chehre se shikayat hai bahut
aaina mujh ko sanwarne bhi nahin deta hai
us ki mahfil mein pahunchne ki tamanna mat kar
wo to kuche se guzarne bhi nahin deta hai
- Book : Radd-e-amal (Pg. 12)
- Author : Ahmad Kamal Hashami
- Publication : Ahmad Kamal Hashami (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.