aah ko mail-e-guftar karun ya na karun
aah ko mā.il-e-guftār karūñ yā na karūñ
un se kuchh shikva-e-āzār karūñ yā na karūñ
āñkheñ apnī haiñ ye haath apne haiñ muñh apnā hai
hai haqīqat magar iqrār karūñ yā na karūñ
phir musībat meñ vo āvāz agar deñ mujh ko
dil batā tū hī ki inkār karūñ yā na karūñ
ḳhaas hai mere liye un ke junūñ kī Thokar
aise ehsān kā iqrār karūñ yā na karūñ
ab to ḳhud apnī firāsat se huuñ maiñ bhī mashkūk
ham-navāoñ maiñ ye iz.hār karūñ yā na karūñ
yahī nākāmiyāñ qismat meñ likhī haiñ yā-rab
apnī taqdīr se paikār karūñ yā na karūñ
mere ik haath ne phūñkā hai nasheman merā
dūsre haath pe iz.hār karūñ yā na karūñ
aah ko mail-e-guftar karun ya na karun
un se kuchh shikwa-e-azar karun ya na karun
aankhen apni hain ye hath apne hain munh apna hai
hai haqiqat magar iqrar karun ya na karun
phir musibat mein wo aawaz agar den mujh ko
dil bata tu hi ki inkar karun ya na karun
KHas hai mere liye un ke junun ki Thokar
aise ehsan ka iqrar karun ya na karun
ab to KHud apni firasat se hun main bhi mashkuk
ham-nawaon main ye izhaar karun ya na karun
yahi nakaamiyan qismat mein likhi hain ya-rab
apni taqdir se paikar karun ya na karun
mere ek hath ne phunka hai nasheman mera
dusre hath pe izhaar karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.