aah ko samjhe ho kya dil se agar ho jaegi
aah ko samjhe ho kyā dil se agar ho jā.egī
vo to vo un ke farishtoñ ko ḳhabar ho jā.egī
puurī kyā muusā tamannā tuur par ho jā.egī
tum agar uupar ga.e nīchī nazar ho jā.egī
kyā in aahoñ se shab-e-ġham muḳhtasar ho jā.egī
ye sahar hone kī bāteñ haiñ sahar ho jā.egī
aa to jā.eñge vo merī āh-e-pur-tāsīr se
mahfil-e-dushman meñ rusvā.ī magar ho jā.egī
kis se pūchheñge vo mere raat ke marne kā haal
tū bhī ab ḳhāmosh ai sham-e-sahar ho jā.egī
ye bahut achchhā huā ā.eñge vo pichhle pahar
chāñdnī bhī ḳhatm jab tak ai 'qamar' ho jā.egī
aah ko samjhe ho kya dil se agar ho jaegi
wo to wo un ke farishton ko KHabar ho jaegi
puri kya musa tamanna tur par ho jaegi
tum agar upar gae nichi nazar ho jaegi
kya in aahon se shab-e-gham muKHtasar ho jaegi
ye sahar hone ki baaten hain sahar ho jaegi
aa to jaenge wo meri aah-e-pur-tasir se
mahfil-e-dushman mein ruswai magar ho jaegi
kis se puchhenge wo mere raat ke marne ka haal
tu bhi ab KHamosh ai sham-e-sahar ho jaegi
ye bahut achchha hua aaenge wo pichhle pahar
chandni bhi KHatm jab tak ai 'qamar' ho jaegi
- Book : Auj-Qamar (Pg. 18)
- Author : Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat Ali And Sons (1952)
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.