aah ko thi jo kabhi hasrat-e-tasir so hai
aah ko thī jo kabhī hasrat-e-tāsīr so hai
thī jo bigḌī huī ushshāq kī taqdīr so hai
dil meñ us ke na huī raah kisī sūrat se
thī jo taqdīr meñ nākāmī-e-tadbīr so hai
mil ke dekhā to vo kuchh aur hī niklā lekin
dil meñ ik us kī banā.ī thī jo tasvīr so hai
aap ke zulm se pahle bhī ḳhudā shāhid hai
yuuñ hī rahtī thī tabī.at mirī dil-gīr so hai
shahr-e-ulfat kī tabāhī kī nishānī ai dost
dil kī thī ek hī ujḌī huī ta.amīr so hai
un se kartā huuñ vafā is pe jo chāheñ so kaheñ
thī hamesha se yahī ik mirī taqsīr so hai
thā kabhī pahle na āzād na ab huuñ maiñ 'jalīl'
ishq kī thī jo mire pair meñ zanjīr so hai
aah ko thi jo kabhi hasrat-e-tasir so hai
thi jo bigDi hui ushshaq ki taqdir so hai
dil mein us ke na hui rah kisi surat se
thi jo taqdir mein nakaami-e-tadbir so hai
mil ke dekha to wo kuchh aur hi nikla lekin
dil mein ek us ki banai thi jo taswir so hai
aap ke zulm se pahle bhi KHuda shahid hai
yun hi rahti thi tabiat meri dil-gir so hai
shahr-e-ulfat ki tabahi ki nishani ai dost
dil ki thi ek hi ujDi hui tamir so hai
un se karta hun wafa is pe jo chahen so kahen
thi hamesha se yahi ek meri taqsir so hai
tha kabhi pahle na aazad na ab hun main 'jalil'
ishq ki thi jo mere pair mein zanjir so hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.