aah mein kuchh nazar aai na asar ki surat
aah mein kuchh nazar aai na asar ki surat
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
aah meñ kuchh nazar aa.ī na asar kī sūrat
ye vo hai naḳhl ki dekhī na samar kī sūrat
apnī āġhosh meñ vo māh-laqā shaam se hai
yā-ilāhī nazar aa.e na sahar kī sūrat
josh aaya na mire dil kī tarah se us ko
abr barsā na kabhī dīda-e-tar kī sūrat
kar diyā hai ġham-e-furqat ne mujhe zaar aisā
gum huuñ nazroñ se magar un kī kamar kī sūrat
surḳh-rū maiñ jo huā naqd-e-shahādat pā kar
rū-siyah ho ga.e aġhyār sipar kī sūrat
phir farishte na kabhī huur kī sūrat dekheñ
dekh paa.eñ jo mire rashk-e-qamar kī sūrat
phūlne phalne kī ummīd thī 'vahbī' ik din
kar diyā ishq ne ab ḳhushk shajar kī sūrat
aah mein kuchh nazar aai na asar ki surat
ye wo hai naKHl ki dekhi na samar ki surat
apni aaghosh mein wo mah-laqa sham se hai
ya-ilahi nazar aae na sahar ki surat
josh aaya na mere dil ki tarah se us ko
abr barsa na kabhi dida-e-tar ki surat
kar diya hai gham-e-furqat ne mujhe zar aisa
gum hun nazron se magar un ki kamar ki surat
surKH-ru main jo hua naqd-e-shahadat pa kar
ru-siyah ho gae aghyar sipar ki surat
phir farishte na kabhi hur ki surat dekhen
dekh paen jo mere rashk-e-qamar ki surat
phulne phalne ki ummid thi 'wahbi' ek din
kar diya ishq ne ab KHushk shajar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.