aah paband-e-asar ho ye zaruri to nahin
aah pāband-e-asar ho ye zarūrī to nahīñ
shām-e-ġham terī sahar ho ye zarūrī to nahīñ
sar ko Takrānā to hai josh-e-junūñ kī fitrat
is se dīvār meñ dar ho ye zarūrī to nahīñ
aadmī aaya hai duniyā meñ musāfir ban kar
chāñd hī hadd-e-safar ho ye zarūrī to nahīñ
ashk-e-ġham pī ke jo har lab ko tabassum de de
har bashar aisā bashar ho ye zarūrī to nahīñ
Dūbte dekhe haiñ sāhil pe safīne aksar
ġharq hone ko bhañvar ho ye zarūrī to nahīñ
ab to rahbar kī bhī niyyat hameñ chauñkātī hai
sirf rahzan hī kā Dar ho ye zarūrī to nahīñ
ek dīvāna huuñ baiThā huuñ sar-e-rāh 'muhib'
un kā aanā bhī idhar ho ye zarūrī to nahīñ
aah paband-e-asar ho ye zaruri to nahin
sham-e-gham teri sahar ho ye zaruri to nahin
sar ko Takrana to hai josh-e-junun ki fitrat
is se diwar mein dar ho ye zaruri to nahin
aadmi aaya hai duniya mein musafir ban kar
chand hi hadd-e-safar ho ye zaruri to nahin
ashk-e-gham pi ke jo har lab ko tabassum de de
har bashar aisa bashar ho ye zaruri to nahin
Dubte dekhe hain sahil pe safine aksar
gharq hone ko bhanwar ho ye zaruri to nahin
ab to rahbar ki bhi niyyat hamein chaunkati hai
sirf rahzan hi ka Dar ho ye zaruri to nahin
ek diwana hun baiTha hun sar-e-rah 'muhib'
un ka aana bhi idhar ho ye zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.