aahani chaTanon mein gunjti sadaon ka
āhanī chaTānoñ meñ gūñjtī sadāoñ ka
kaun rok saktā hai rāsta havāoñ ka
us ne baal khole the sabz rāhdārī meñ
qāfila falak par thā surma.ī ghaTāoñ ka
shahr meñ kahāñ koī dekhtā hai muḌ-muḌ ke
baa'd meñ ḳhayāl aaya aadmī thā gaañv ka
phuul rakhtā jaatā huuñ rāste ke siine par
ik nishān dekhā thā maiñ ne us ke paañv ka
kaun ġhaur kartā hai chāñdnī kī ThanDak meñ
dhuup meñ ḳhayāl aaya pīpaloñ kī chhāoñ ka
aahani chaTanon mein gunjti sadaon ka
kaun rok sakta hai rasta hawaon ka
us ne baal khole the sabz rahdari mein
qafila falak par tha surmai ghaTaon ka
shahr mein kahan koi dekhta hai muD-muD ke
ba'd mein KHayal aaya aadmi tha ganw ka
phul rakhta jata hun raste ke sine par
ek nishan dekha tha main ne us ke panw ka
kaun ghaur karta hai chandni ki ThanDak mein
dhup mein KHayal aaya pipalon ki chhaon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.