aahon ka shisha dard ka patthar liye phira
aahoñ kā shīsha dard kā patthar liye phirā
maiñ bazm meñ ajiib sā manzar liye phirā
har ik qadam pe qatl kā ḳhatra thā dosto
maiñ apnī āstīn meñ ḳhanjar liye phirā
logoñ ko raas aa.ī thī āḳhir havas kī dhuup
be-vaj.h kyoñ maiñ pyaar kī chādar liye phirā
har pal mirī hayāt kā thā ik pahāḌ sā
apnī sadī ke bojh ko sar par liye phirā
taḳhlīq-e-nau kā jazba-e-kāmil thā apne saath
maiñ ik nigār-ḳhāna-e-āzar liye phirā
'jāmī' har ek shaḳhs thā yuuñ tishna-lab ki maiñ
shahroñ meñ āgahī kā samundar liye phirā
aahon ka shisha dard ka patthar liye phira
main bazm mein ajib sa manzar liye phira
har ek qadam pe qatl ka KHatra tha dosto
main apni aastin mein KHanjar liye phira
logon ko ras aai thi aaKHir hawas ki dhup
be-wajh kyon main pyar ki chadar liye phira
har pal meri hayat ka tha ek pahaD sa
apni sadi ke bojh ko sar par liye phira
taKHliq-e-nau ka jazba-e-kaamil tha apne sath
main ek nigar-KHana-e-azar liye phira
'jami' har ek shaKHs tha yun tishna-lab ki main
shahron mein aagahi ka samundar liye phira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.