aahon ke basere hain armanon ki basti hai
aahoñ ke basere haiñ armānoñ kī bastī hai
kahte haiñ jise hastī adh-suljhī pahelī hai
nāvak tirī bātoñ ke kuchh aise lage dil par
ab saañs bhī letā huuñ to ruuh nikaltī hai
aflāk pe hotā hai kis baat kā hañgāma
bādal jo garajtā hai bijlī jo taḌaptī hai
Tapkan ko vahī samjhe zaḳhmoñ se jo khelā ho
kyā jaane musībat tū jo mujh pe guzartī hai
ik jism thā jo merā vo ḳhaak huā kab kā
ik ruuh bachī thī jo ab vo bhī pighaltī hai
gardish meñ har ik shai hai kyā DhūñDh rahe haiñ sab
kyoñ vaqt phisaltā hai kyoñ umr saraktī hai
kāfir ke liye jaise duniyā hī meñ jannat ho
momin ke liye duniyā ik kāñToñ kī bastī hai
insāñ ko lubhātī hai duniyā kī hai rañgīnī
bāhar se chamaktī hai andar se jhulastī hai
jab vaqt bigaḌtā hai insān kā duniyā meñ
duniyā bhī nazar apnī ik pal meñ badaltī hai
hai kis kī harārat se taptī haiñ mirī sāñseñ
siine meñ mire jaise ik aag sulagtī hai
aflāk ugaltā hai rūhoñ ke samundar ko
'tauqīr' zamīñ sab ke jismoñ ko nigaltī hai
aahon ke basere hain armanon ki basti hai
kahte hain jise hasti adh-suljhi paheli hai
nawak teri baaton ke kuchh aise lage dil par
ab sans bhi leta hun to ruh nikalti hai
aflak pe hota hai kis baat ka hangama
baadal jo garajta hai bijli jo taDapti hai
Tapkan ko wahi samjhe zaKHmon se jo khela ho
kya jaane musibat tu jo mujh pe guzarti hai
ek jism tha jo mera wo KHak hua kab ka
ek ruh bachi thi jo ab wo bhi pighalti hai
gardish mein har ek shai hai kya DhunDh rahe hain sab
kyon waqt phisalta hai kyon umr sarakti hai
kafir ke liye jaise duniya hi mein jannat ho
momin ke liye duniya ek kanTon ki basti hai
insan ko lubhati hai duniya ki hai rangini
bahar se chamakti hai andar se jhulasti hai
jab waqt bigaDta hai insan ka duniya mein
duniya bhi nazar apni ek pal mein badalti hai
hai kis ki hararat se tapti hain meri sansen
sine mein mere jaise ek aag sulagti hai
aflak ugalta hai ruhon ke samundar ko
'tauqir' zamin sab ke jismon ko nigalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.